Answer |
Islam baqi asmani adian ki terah iffat aur pakisgi ki hifazat ka alambardar hai. Allah nai quran mai zina ki muzammat krtay huay surah bani israil surah # 17 ki ayat # 32 mai kaha hai k tum zina k qareeb mat jao yaqeenan wo qabil e nafrat burai aur bura rasta hai. Is k alawa hadees mai bhi is gunah ki bohat muzammat ki gae hai, Hazrat imam Jaffar e Sadiq a.s. farmatay hain k “zina krnay walay k lie 6 qism ki saza hain 3 dunya ki aur 3 aakhirat ki. Dunya ki sazain: 1)Zina sai chehray ka noor khatm ho jata hai 2)zina sai faqr o iflas ata hai 3)zina sai mout jaldi ati hai. Aakhirat ki sazain: 1)Zina sai Allah naraz hota hai 2)zina hisab ki sakhti ka sabab banta hai 3) zina hamisha ki dozakh ka sabab hai. mazeed farmaya k qayamat k din sab sai ziada azab mai wo shakhs ho ga jis nai apna nutfa haram rehm mai dala ho ga yani zina kia ho ga.” (Ref : Moharammat e Islam pg # 318-19)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |