Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question main chati hon k meri divorce na ho or merey hsbnd mje khud aa kr merey maikey sey le jaen.hmara case court maun chal rha hey main chati hon k divorce na ho.meri ak bachi bhi hey jo 6th mnth ki hey abi apney walid k pass hey.meri male kahin show na krye ga bs meri id pe mera naswer male kr dain jld az jld plzzzzz 
Answer Wazeefa: 1)Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker duain maangain. insha allah jald aap ki mushkilaat hal hojain gi.(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). 2) kisi bhi maqsad or mushkilaat k hal k liay 3 mertabah salawaat per ker sachchahy dil or khuloos e niyat k saath naday ali ko 7 mertabah per ker phir 3 mertabah salawaat perhnay k baad 14 masomeen k wasilay say allah say dua ki jay tu zaroor qabool hogi. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 74-76). Fiqh e jaafriya(Shia) main talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3.zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.in sharait ki rausni main court say talaq lain sahi nahi or aisi talaq ghalat or batil hay. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.