Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question infact may ne zindage may bohat si jhooti kasmain khain the. ab zindage may boht peshtawa ho raha hy. may ne boht say muamolat mat may Allah Tala, Quran Majeed, Or kalma shreef be parha lakin bad may kasmain torna parian. Kia har kasam ka alag alag kafara ho ga. or agar yaad na ho k kitni kasmain torain hain to is condition may kia karna ho ga. Plz mujay jawab jaldi dain ta k mara boj halka ho saky. 
Answer Ek qasam ye hai k Ap ainda kisi kam k krne ya na krne ki qasam khate hen, Is men agr apne zaban se bol kr Allah ka naam lekr qasam khai hai to phir us per amal krna wajib hojata hai, or amal na krne ki surat men insane gunahgar hojhata hai or kaffara wajib hojayega (kaffara ek ghulam ko azad krna ya 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilana ya unko libaas pehnana hai or agr ye kam na kr saken to phir 3 din musalsal roze rakhna hai). Or dusri qasam ye hai k ap kisi bat ko sabit krne k liye qasam khate hen k ye kam hua tha ya nahi hua tha, to is surat men agr ap sach bol kr qasam kha rahe hen(sachi qasam) to koi harj nahi hai albatta makrooh hai, lekin agr ap jhoot bol kr qasam kha rahe hen(jhooti qasam) to ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera hojata hai , albatta iska koi kaffara nahi hai siwaye toba o istighafar ke. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-38). Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.