Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question salam .may nay kuch paisay private bank may 5 saal kay liay fix kiay hay ospay jo interest mujhay milta hay wo jaiz hay agr nahe to os raqam ka jo mujhay har month milta hay kia karna chahiay . dosra sawal ye hay kay wo raqam jo may nay bank may fix karwai hay ospay khums kaisay or kitni dafa niklna paray ga .wo paisay may nay 5 saal kay liay fix kiay thay beech may osko nahe nikalwa saktee 5 saal baad khums dogee ?.tafseel say jawab dain. shukrya 
Answer 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. 3- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). 4-Bank main fix kerwae hoe raqam per jab khums ki tareekh aajay tu os ka khums daina wajib hoga. Or jis cheez ka aik baar khums day dia jay tu phir os per khums wajib nahi hota. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 1212-1258 , Eidition 1430 hij). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.