Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Mera quistion hay kay jb ksi shia ka bap ya man mrr jati hay to log khety hain kay in ki nmaz and rozy brri old per wajib hogy hay iss ka koi quran ya hdees say btay jbky nmaz and rozy ka hisab khud dena hota hay to olad ko kew kha gea hay. 
Answer agar baap nay apni khuch namazin nah perhi hoon or inki qaza perhnay per qaadir ho tu agar is nay khuda k hokum ki naa-fermani kertay hoay inko terk nah kia ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per os k berhay baitay per wajib hay k baap k mernay k baad is ki qaza namazin perhay.ya kisi ko ujrat day ker perhwaay, or maan ki qaza namazain is per wajib nahi , agarcha behter hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1371). Baap k mernay k baad berhay baitay k liay ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay keh baap k rozo ki qaza isi terah baja laay jaisay keh namaz k silsilay main maslah # 1371 main tafseel say bataya gaya hay. wo ye bhi ker sakta hay k her din k badlay 750 gram khana kisi faqeer ko day day.chahay warisoo k razi honay ki sorat main mayyit k maal hi say day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1683).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.