Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Qasam wapis lena 
Question Aslam o Alikum wa rehmutullah he wabarakatu hu main ne apni mangater say kasam khai k main 2 din tum say bat nai karun ga or us ne kaha k main kasam wapis le lon kia kasam wapis ho sakti hay aya k main ne full iraday say hoosh main or gusay main nai khai the na mehram say baat karna haram hay phir b agar kasam wapis lena chaho to le ja sakti hay plz tell me 
Answer Agr ap aysi qasam khaten hen jo sharae qasam ki sari sharton per mushtamil ho to is surat men is qasam ki mukhalifat krne se ap gunahgar hojajaege,or ap per kaffara dena wajib hojayega, matlb 10 faqeeron ko khana pet bhar kr khilaye ya phir unhen poshak (libas) pehnaye (ata kre).(qasam wapis nahi le sakte) Sharae qasam ki shrten: Qasam khane wala Baligh, Aaqil, qasam ka irada or ikhtiyar rakhta ho, jis ki qasam khaye wo kam krna haram ya makroo na ho, Qasam Allah ka aysa naam bhi le jo kisi or k liye istamal na hota ho, Qasam k alfaz ko zaban per laye(sirf niyat kafi nahi hai), jis kam ki qasam khai ho wo mumkin ho. Or agr ye sharten nah on to phir qasam shumar nahi hogi , is surat men koi kaffar bhi nahi ayega.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.