Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Syed Ali Hussaini Seestani 
Question Slaam ,,,,,,, maira sawal ye hy k ,,aj sy kuch din pehly mujhy aik dost ny ai msg kia k ,,seestani sahb k baqoal mor aur shter murgh (birds) halal hai ,jb k assol e arba ki kitab Man la yahzar ul faqeeha mai imam Baqir a.s ny moar aur shuter murgh ko haram qarar dia hy ,,,plz raah numaai fermai........ Slaam  
Answer Jee haan Ayatullah sistani k fatwe k mutabiq moor or shutar murgh kahana Halaal hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2587). NOTE : Aik mujtahid-e-Aalam apni puri zindagi kharch kerta hai sirf Quran or talimaat-e-Ahlebait a.s ko samjhne k liay, lehaza wo aam afrad ki ba-nisbat ziyada Quran or Ahadees-e-Masomeen a.s ko samjhne ki salahiyat rakhta hai, Wo Faqat riwayaat k zahiri Alfaz ko dekh ker koi Fatwa nahi deta balke os Hadees k bare men Mukammal Malomaat Hasil kerta hai. Q k Jis tarah quran ko uski tafseer k bagher faqt tarjume se samajhna na-mumkin hai isi tarah Ahadees-e-Masomeen a.s ko bhi samjhna Faqt tarjume se mumkin nahi hai lehaza aysi boht sari cheezen hoti hen jo kisi Ayat Ya Hadees ko samjhne se taalluq rakhti hen un sab ko nazar men rakh ker ek mujtahid phir Koe fatwa deta hai. Or in chizon ko samjhne k liye ilm hasil kerna zaruri hai. is topic k liye ek kitab (Ijtihad or taqleed per kiay gaey Aytarazat) ko perh lain insha Allah apki mazeed rehnumai hogi. Update on dated 11-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.