Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question in UBL MASJID some momineen are saying they have checked the orignal direction of Qibla is around 20 Degree rightword from the Qibla of the Masjid and they are praying Namaz 20degree rightword from the Qibla of Masjid. but all Ahlesunnat n some momineen praying according to the Qibla of Masjid. what should the better practice to pray namaz??? 
Answer 1) Khana e kaba ka wo maqaam jo makkah e mukarrama main hain, wo hamara qiblah hay layhaza zarori hay k is k saamnay kharhay ho ker namaz perhay laikin jo shaks is say dhoor ho agar wo is terah kerha ho ker k loog kahain k qiblay ki taraf monh ker k namaz perh raha hay tu kafi hay.(Ref: A.Sistani(d.b), tauzeeul masa’il, maslah#764) 2)jo shaks namaz perhna chahay tu zarori hay k qibaly ki samt ka ta’ey’yun kernay k liay koshish karay takeh qiblay ki samt k baray main yaqeen ya aisi kaifiyat jo yaqeen k hokum main ho(maslan aisay 2 aadil aadmiyo ki gawahi jo hiss ya is jaisi kisi cheez ki bunyaad per qiblay ki samt ki gawahi day rahay hoon ) hasil ker lay or agar aisa nah ker sakay tu zarori hay k musalmaano ki masjid k mehraab say ya momineen ki qabaro say ya dosray tariqo say jo gumaan paida ho is k mutabiq amal karay hatta keh agar kisi aisay faasiq ya kaafir k kehnay per jo science k qawaa’id k zeri’ay qiblay ka rukh pehchanta ho qiblay k baray main gumaan paida karay tu wo bhi kaafi hay.( Ref: A.Sistani(d.b), tauzeeul masa’il, maslah#770). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.