Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question sarri or johri namaz m kia farq hai ? 
Answer Mard kay liye ehtiyat ki bina par wajib hai k Fajr,Maghrib aur Isha ki Namaz main Al-Hamd aur Sura Buland awaz say parhay aur mard aur aurat donoo par ehtiyat ki bina par wajib hai k namaz e zohar aur asr mai al-hamd aur surah aahista parhay. Aur is ka Mayaar URF hay(yani society k naik loog) aur isi tarah aahista parhnay ka mayaar bhi URF hay,ye Wajibaat-e-Ghair-e-Rukni main say hay.aur Agar jaan boojh kar jahan buland awaz say parhna hay aahista parhay aur jahan aahista awaz main parhna hay wahan buland awaz say parhay to uski Namaz Batil hay,haan agar bhool jaey ya masala na janta ho to is soorat main Namaz sahih hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 979) (Ref:Urwatul Wusqa A.Sistani Part-2 Masala No.22-26)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.