Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Peshab kay doran Katroon ka ana 
Question As Salam-o-Alikum. Dr sahab meri age 20 years hai..... Sir mera masla yeh hai kay main jub kisi garam cheez (sofa, Bed) pe bethta hunn to Chand katree nikal parte hain. aur jub Ghusal ker kay nikalta hun tab bhe chand katree nikal perte hain... is ka koi hall btain plzzzz. i am v worry....  
Answer 1)Agar mani niklnay ka yaqeen he to Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Warna wajib nahi he.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) 2)wo ratoobat jo khabi khabi shawat ubharnay per mard k ala e tanasul se kharij ho ose mazi kehtay hein, Aur wo pak hai ya wo ratubat jo peshab k baad niklti hai jisay wida kaha jata hai aur agar peshab is sai mila hua na ho k to pak hai. aur agar ye qatray peshab k baad nikltay hain to peshab k baad istebra kia jata hai jis sai peshab ki nali sai peshab nikl jata hai. os ka tareeqa ye hai k pashab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356,70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.