Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question asalam o alaikum mera sawaal yh hai k aik dafa meri ammi ne meri khala k betay ko doodh piladia tha aur meri khala ne mere bhai ko mai khala ki beti se shaadi krna chahta hun kia yeh jaiz hai kyunki mainay suna hai k hum behen bhai hogaye hain? 
Answer Doodh pila kar mehram bannay ki 8 shartain hein jis me se aik ye he k bachay ko is qadar doodh pilaya jay k is ki haddiyaan(bones) is doodh se mazboot ho jain aur badan ka ghost bhi banay or agar is baat ka ilm(yaqeen) nah ho keh is qadar doodh piya hay ya nahi tu agar is nay 1 din or 1 raat ya 15 mertabah pait bher ker dhoodh piya ho tab bhi(mehram honay k liay) kafi hay. agar 8 shara’it per amal kar k doodh pilaya gaya ho to wo lerki aap ki mahram ho gi aur aap ka on say shadi karna haram ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2438). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.