Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Asalam o alekum, Ya ALi madad. Kehte hain bank ka pura buisness sood pe hai kya ye sahi hai ? second bank ki job jaiz hai? syed Agha raza mehedvi jo ayatullah seestani k wakeel hain unka kehna hai k sirf wo bank jiska owner gher muslim ho us bank me job kerna jaiz hai. Muslim banks jnke owner muslim hn un banks me job kerna thk nahi. Kya ye sahi hai? 
Answer 1)Ye baat durust nahi hay k bank k tamaam kaam sood per mushtamil hotay hain.Balkeh khuch kaamo main sood ka ta’al’luq hi nahi hota maslan school fees, electric, Gas and telephone bills ki raqam wusool kerna. 2)Bank k haram kaam maslan wo kaam jo soodi maamlaat se merboot (related) hain, haram hain or in shobo (departments) main kaam kerna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #before 29). 3)Agar bank ya adara jis main profit daine wala(owner) musalman nah ho tu aise department main job kerna jaiz hay jahaan aisa soodi lain dain huta ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #29, pg#453). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.