Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name agga khumanai 
Question ya Ali as madad. plz takleed k baray main quran o hadees ka hawala dy k batain k takleed karni wajib hy. 
Answer 1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadisoo ko bayan karnay walay ravioun ki taraf roju karoo q k wo humari taraf sai tum par hujjat hein jis terah hum ALLAh ki taraf sai tum par hujjat hein.” Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) 2)Taqleed mujtahid k fatway k mutabiq amal karney ka naam hai is terah mujtahid ki rae k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahea usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap nai apne amal ko haar ki terah mujtahid ki gardan me daal dia hai aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya hai. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.