Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question S/A Mera swal mere bade bhai ke liye hai jin ki umar 38 saal hai jo ki donon hath aur dono paron se puri tarah majoor hai.Bas is tarah samajh lijieye ki rozmarrah ki zarooraton ke liye 5 se 7 kadam door baitulkhala jane mein ek ghante se ziyada waqt sarf ho jata hai. Meri maan (jo ki ab kafi zaieef ho chuki hain) ke alawa koi aur un ki khidamt ke liye nahi hai.MERA SAWAL UNKI WAJIBAT(esp. NAMAZ) KE MUTALLIQ HAI. MOUJUDA HALAAT KE TAHAT UMUMAN WO HAFTE MEIN EK HI DAFE GUSLKHANE JA PATE HAIN AUR TABHI PURE YAQEEN KE SAATH WO APNE AAP KO PAAK SHUMAR KARTE HAIN. ASL SAWAL "AISE HALAT MEIN JAB KI INSAAN HAMESHA NAJASAT KI HALAT MEIN HO AUR ROZANA APNE AAP KO PAAK KARNA KISI BHI TARAH MUMKIN HI NA HO TO INSAAN US HALAT MEIN APNE SHARAI WAJEBAT(ESP. NAMAZ) KAISE PURA KARE? 
Answer Najis badan aur libas k sath majboor honay ki surat me namaz perhna jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 835). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.