Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Khamnaie 
Question TASHAD MAIN ALI KA NAAM PADHANA KIA NAMAZ BATIL HO JATA HAY. 
Answer 1)Ehtiyaat e wajib ki bina per namaz main shahadat e salisa perhna jaiz nahi hay.Or agar koe shaks tashahud main shahadat e salisa perhay tu agar wo jahil e qasir ho tu namaz ki qaza os per wajib nahi laikin agar jahil e muqassir ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k in namazo ki qaza karay jin main shahadat e salisa perha tha. (Ref: http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1758 , Mujtahid se pochay gay sawalaat part#2, maslah#90) 2) Jahil e qasir yani wo shakhs jis nai kisi qabil e aetimad shakhs ki baat ya kisi metabir risalay ki tehreer par bharoosa kia ho aur baad mai maloom ho k is shakhs ya risalay sai galati hui thi. 3) jahil e moqassir yani wo na waqif shakhs jis k lie masail ka seekhna mumkin raha ho lakin is nai kotahi ki ho aur jan boojh kar masail maloom na kiay hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, fihi istehilaat ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.