Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question kasam ki basic deffination kiya ha? aur iski kitni iqsam ha. plz tell me. thanku 
Answer Qasam ki 2 qismen hen. 1) Jab koi shakhs qasam khaye k falan kam anjam dega ya tark karay ga maslan qasam khaye k roza rakhe gay a tambakoo istemal nahi karay ga, Is Qasam ki shariat : Qasam khane wala balig or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam khaye, jis kam ki qasam khai jaye wo haram or makrooh na ho, Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho 4: qasam k alfaz zaban per laye, Or us qasam per amal karna bhi mumkin ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-2634) 2) - Agr koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to ye qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638) Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.