Answer |
Zaroori hai k tayammum “ﻘﺮﺒﻪﺍﻠﻰﺍﷲ ” ki niyat sai anjam dia jae. Aur is k lie itna kafi hai k hokum e ilahi ki baja aawari k iraday sai kia jae. Is k alawa tayammum ki niyat sai zaban ya dil mai karna zaroori nahi bal k agar aik shakhs tayammum k tamam afal Allah k hokum par amal karnay k lie baja lae to kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 690) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |