Answer |
1)Zohar aur asr ki namaz ka waqt zawal e aftab k bad se suraj garoob honay tak he. Magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar shakhs k liay magrib e share se le kar aadhi raat tak he. Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi upper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phayl jaay to wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklne taq he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718 , 724 , 729).
2) Jo shakhs namaz parhna chahay to zurari he k qible ki janib ka ta’ey’yun karnay ki koshish karay ta’keh qible ki samth k baray me yaqeen ho jaay maslan 2 aa’dil admi ki shahdat jo hiss (sense) ya is jaisi kisi cheez ki bunyaad per qible ki samth ki sahadat de. Ya masjid k mehrab ko daikh kar ya momineen ki qabroo ko daikh kar ghuman paida ho us per amal kar lain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 770)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|