Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Aslk main ek ladki ku pasand karta hoon aur nikah ka irada bi hai aur main ne wada bi kiya tha ke shadi karonga ab mere maa baap raazi nai hai main bohat manane ki koshih kia hon lakin raazi nai hai ab mera masla ek taraf maa baap aur dusri taraf kia hoa wada ab surat main mujhe kia karna chaihye main wada khilafi nai karna cahata aur maa bap ku choor bi nai sakta plz meri wazahat farmaye  
Answer Agr momin se kiya gaya Ehed tora jaye to ye ek gunah e kabera hai, Or agr Allah se kiya huwa Ehed tora jaye to gunahgar hone k sath sath zarori hai k kaffara bhi diya jaye matlb 60 faqeero ko pait bhar kar khana khilaya jaye ya 2 mahine musalsal rozay rakhe.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # , Eidition 1430 hij)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2632)2)Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) Update on dated 31-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.