Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question As-salam-alaikum mujhe tahajjud ki namaz ke baare mein janna hai ki tahajjud ki namaz ki kitni rakhat hoti hai aur use kaise aur kitne waqt per padna rahta hai mujhe tahajjud ki namaz ke baare mein puri jankari chahiye. shukriya, allah hafiz 
Answer Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay.8 rak’aat naaflah e shab ki niyat say,2 rak’at namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay.namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu raja e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.