Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Agar aap kisi new place mei ho or namaz ka waqt ho, ap ko qibla kis rukh hy maloom na ho tu kis tarha namaz aada karni chahye? 
Answer 1)Jo shakhs namaz parhna chahae to zurari he k qible ki samth ka tai’yun karnay ki koshish karay ta’keh qible ki samth k baray me yaqeen ho jaay maslan 2 aadil aadmiyo ki shahadat jo hiss(sence) ya is jaisi kisi cheez ki buniyaad per qible ki samth ki shahadat de. Ya masjid k mehrab ko dekh kar ya momineen ki qabroo ko dekh kar ghuman paida ho us per amal kar le. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 770) 2)agar kisi k pas qiblay ka rukh mutain karnay ka koi zarya na ho ya koshis k ba wajood is ka ghuman kisi aik taraf na jata ho to is ka kisi bhi taraf rukh kar k namaz parhna kafi he. Aur ethiat e mustahib ye he k agar namaz ka waqt wassie ho to charoo taraf rukh kar k namaz parhay yani char bar namaz parhay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 772 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.