Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Mujhe kahin se pata chala he k agar biwi maan banne wali hor or uske pait me bacha ho to jab bacha pait me 6 mahine ka hojae to us orat k shohar ko uke sath sobat (Itercourse) nahi karna chahiye, khas tor se k agar larki peda hone waali ho, pls zara quraan or hadis ki rshni me wazeh batain k aar orat man banne wali ho to uska shohar uske sath kab tak mubashrat kar sakta he or kab nahi kar sakta...waiting for ur reply 
Answer Haamilah (pregnant) biwi say hambistari (Itercourse) kerna haram nahi hay.Mustahab hay k biwi say wuzu ker k hambistari ki jaay waqt khaas taur per jab wo haamilah ho.Biwi say halat e haiz(period) or nifaas main hambistari kerna haraam hay. Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Ayatullah Sistani (d.b.),maslah #2382). Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen,part#3,maslah#5,email Received from Ayat Ullah Seestani(d.b),dated 13-07-10,Tauzee hul masail, maslah#448,504,2376). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.