Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question zakat kin chizo par deni hogi tafsil se bataain 
Answer Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum.2:Jao.3:Khajoor.4:Kishmish.5:Sonay kay sikkay.6:Chandi kay sikkay. 7:Oont.8:Gaey.9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay. Gandum, Jao, Khajoor or Kishmish per zakaat os waqt wajib hoti hay jab wo apnay nisaab ki had tak pohanch jain or in ka nisaab taqreeban 847 kilogram hay. Sonay or Chandi per zakat os sorat main wajib hoti hay jab wo sikko ki sorat main hoon or on k zarye lain dain ka rawaj ho(yani raa’ijul waqt hoon). Oont k 12 nisaab ahin jin pehla nisaab 5 oont hain.(yani agar 5 say kam oont hoon tu zakat wajib nahi). Gaey k 2 nisaab hain jin main pehla nisaab 30 gaey hain. .(yani agar 30 say kam gaey hoon tu zakat wajib nahi).in per zakat wajib honay ki aik shart ye bhi hay or wo ye keh ye jaanwar sara saal sirif jangli gaas khaatay rahay hoon.layhaza ager sara saal ya is ka khuch hissa maalik ki gaas khaay tu is jaanwar per zakaat daini wajib nahi hogi. Bhairh Bakri k 5 nisaab hain jin main pehla nisaab 40 Bhairh bakri hain. .(yani agar 40 Bhairh bakri say kam hoon tu zakat wajib nahi). (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1820,1829,1864,1872,1874,1876,1877).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.