Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Aslaam-o-aleikum ... Meine aik larki se court mein ja k islamic aur legally nikah kar lia tha aur apne gher walon ko manane ki har mumkin koshish ki par gher wale agree nahin hoye aur meri walida ne mujhey majboor kia ke mein us larrki ko talaq de doo. Mein janata hu k wo larrki character wise aur religious wise bohat nek aur tahajud guzar hai . 5 wakat namazi hai aur tahajud guzar hai, mujhey us larrki mein koi esa nakas nazar nahin atta jis ki base pe mein us larrki ko divorce de doo lekin meri family specially meri walida mujhey force kar rahi hain k mein us larrki ko divorce de doon. Mein apni walida k haq mein bhi gunahgar nahin hona chahta aur larrki k saath bhi zulm nahin karna chahta. Mein bohat pareshan hoon please kindly islam ki rooh se mere liya kia hukam hai kion k mere gher wale yeh base use karte hain k maa agar hukam kare to islam mein hukam hai k talaq de deni chaiye ... Ab mein kia karoon ? Islam ki rooh se mujhey kia karna chahiye ... Tafseeli jawab dein. Shukaria  
Answer Wssalam o alykum,Sb se pehli bat to yehi hai k ager wo nikah jo apne court men kiya islam men uski koi value nahi hai, lekin agr apka agrchhe court men nikah hua hia lekin agr tamaam islami sharait (wo tmam sharait jo nikah k liye zaruri hen islam men) ke sath howa tha to ap ko apni zoja ka sath dena chahiye, Sharee`at e Muqaddasa ke etibaar se is sorat main maa ki itaat wajib nahi hai, or talaq kisi k kehne per nahi hoti, lehaza apki walida koi koi haq nahi hain k wo apko talaq k liye majboor kre. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 348 , pg # 278 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.