Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question 1. awratoon ke kitne gusool hain or kon kon se? 2. agar awrat ko kisi bina per muni nikalti hai tu gusool wajib ghai? 
Answer 1) Aurton per 7 ghusl wajib hain: 1) Ghusl e Janabat 2) Ghusl e Haiz 3)Ghusl e Nifaas 4)Ghusl e Istehaza 5)Ghusl e masay mayyit 6)Ghusl e mayyit 7)Wo ghusl jo nazar ya qasam waghairah ki wajah say wajib ho jaay. Or agar chaad ya soraj ko mukammal girhan laga ho or mukallaf jaan boojh ker namaz e ayaat nah perhay yahaan tak keh namaz qaza hojaay tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay keh is namaz ki qaza k liay ghusl karay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#344 ki heading). 2) Jee haan, aurto k jism say bhi mani kharij ho tu on per bhi namaz perhnay k liay or aisi hi dosri ibdaat k liay ghusl kerna wajib hojata hay.Wo rutubat jo aurat say shewat k saath kharij hoti hay, agar is had tak ho keh osay inzaal(discharging of semen) or libaas ko aloodah(dirty) kerday,ye aam taur per os waqt nikalti hay jab aurat hijaan e shewat ki intehaa(maximum stage of lust/sex) tak pohanch jay,tu aisi rutubat najib bhi hogi os is k nikalnay per aurat ko ghusl e janabat bhi kerna zarori hoga.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345,356).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.