Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sahi bukhari 
Question aslam o alikum mn aik suni larki hun or mn ye janna chahti hn k kia quran mn mutah hy????????????????????? kis surah mn hy??????? kia is sy related koi ayat hadees ya koi b isara hy?????????????????????? ye halal hy ya haram???????? plz i want to know tell me every thing wrong or right plz  
Answer Sorah e nisa(sorah#4) ki ayat#24 main muta k halal hone ka zikr hay.(Ref: Quran). Sunni o Shia dono muttafiq hain k hamare Nabi Muhammad (s.a.w.w) ne muta ko halal kiya tha, Lekin Mazhab e Shia o Sunni ne is baat main ikhtilaaf kiya hai k is k halaal ker ne k baad is ko Aap (s.a.w.w) ne haram kiya ya nahi. Or Mazhab e Shia is baat ke qaail hain ke Aap (s.a.w.w) ne is ko halal kiya or aap (s.a.w.w)ki hayaat e Tayyaba k baad bhi umar khattab ki hukumat k ibtidae zamane main halaal raha lekin Umar khattab ne hukumati sata per is k karne wale ke liye saza ka elaan kiya jis ki waja se aam loog is ki haqiqat se jahil rehe, or is hi wajah se baad k logo main is k karne wale ko bura samjaha gaya pas Muta Nikah hi ki aik qism hai.(Ref : Shia jawaab dete hain , fasal # 5 , topic muta , Mafhoom e pg # 115). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.