Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Ya Ali Madad, I need to know some answers.. 1) Matam for Ghamy Hussain is Haram or Hillal? 2) Tel me reference from Quran That Ali a.s Fatima Zahara, Imam Hassan, Imam Hussain are Ahly bet, 3) What are current conditions to do MUtta? 
Answer 1- Imam Hussain k gham main matam dari mustahab hay . (Ref: Mafhoom e http://sistani.org/index.php?p=827020&id=975 ). 2) Sorah e ahzaab ki ayat#33 main ehle bait(a.s) k taharat ka wada Allah ne kia hay or har qism ki nijasat ko on se door rakhne ka aylaan kia hay or ye ayat in hi hazraat e ehl e bait a.s k liay nazil hoe. Hatta k nabi (s.a.w.w) ki azwaaj main se bhi kisi ne gunah se masoom o maehfooz hone ka daawa nahi kia. ( http://fa.wikipedia.org/wiki/%D8%A2%DB%8C%D9%87_%D8%AA%D8%B7%D9%87%DB%8C%D8%B1 ) 3) Nikah e Mutaa ki sharaa’it me se khuch ye hain k:- 1). Nikah ka sigah ehtiyaat e wajib hay k sahi arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sigah arabi main nah perh saktay hoon tu arabi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko wakeel banana laazimi nahi hay. 2. sigah parhne wala aqal rakhta ho(yani pagal nah ho) or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he . 3. ye keh merd or aurat ya uska wakeel sigah parhte waqt qasd e insha(nikah kerne ka irada) rakhte hoon.4- kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtaar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #+2335+2341-2). Update on dated –2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.