Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question mery marhoom walid ny mery liy one lakh ky saving cerificate chory thy.jo 7 yeas tk aisy hi rkhy rhy un per 2 year profit mila aor phir un ko main ny cash krwa lia.mery walid ny ye raqm meri shadi ky liy rkhi thi likn shadi meri job ky paiso sy ho gye.walid ny is p qhums nhi dea aor na hi wo khums dea krty thy.kia ab 12 years guzrny p mjhy is per sy qhums niklana ho ga aor kesy niklana ho ga??? 
Answer Agar ye one lakh k saving certificate aap k walid nay apni zindagi main hi aap ko ata ker diay thay or aap ki malkiyat thay or aik saal tak istemaal nahi hoay tu os raqam ka khumus(1/5 ) daina wajib hay.or agar ye certificate ki raqam aap ko meraas main mili ho tu os per khums nahi ku ke meraas par khumus nahi hota chahay wo baghair istemaal k jitney saal bhi parhi rahay.or agar waris ko yaqeen ho k jis shaks say osay raqam ya maal wirsay main mila hay os shaks k zimmay khums wajib tha tu agar wo shaks khums daynay ka aqeeda hi nahi rakhta tha ya khums daita hi nahi tha tu in dono sorato main zarori nahi keh waris wo khums ada karay jo merhoom k zimmay tha.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1724-25,1735). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.