Answer |
Jo shakhs namaz ko mamooli aur gair ahm samjhay wo is shakhs ki manind hai jo namaz na parhta ho. Aik din rasool e khuda s.a.w.w. masjid mai tashreef farma thay k aik shakhs masjid mai dakhil hua aur namaz mai mashgool ho gya laikin ruku aur sujood mukammal tor par na bja laya. Is pr aap s.a.w.w. nai farmaya: “agar ye shakhs is halat mai mar jae jb k is k namaz parhnay ka ye tareeqa hai to ye hamaray deen pr nahi maray ga”. is lie insan ko chaheay k namaz jaldi jaldi na parhay aur namaz ki halat mai khuda ki yad mai rahay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg # 121-22) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |