Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name toba 
Question A-O-A.....jinab mera sawal yeh hai k...mey ik gunah se tobah kerta hoo per mey kuch hee din baad mey wahi gunah ker bethta hoon...TO IIIS SORAT MEY MERA PHIR TOBA KERNA SAHI HAI ????,......... 
Answer 1)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) 2)Istemna ka kaffara toba krna hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 200,pg # 82) 3)Sub sai pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehad or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day kar aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani kar rahay hain. aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof kar lain jaisay sport, kitab perhna waghira, or har os cheez sai bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). 4)Hazrat Rasool e Khuda irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai ghunnah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.