Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Lahore 
Question A.o.a kibla sahab, ma aik shea or syed larka hn ma aik ahl e sunnat larki s apne dil s payar krta hn or wo b mje payar krti h .ma usay kafi martba kch chuka hn k wo shea ho jae, jbke wo mje khti h k thek h ma sb kch namaz roza etc fiqa e jafaria k tarz s krun ge mgr wo matam nahi kre ge nd wo mje b rokti h k ma b matam na krun or khti h k hamari olaad b sheo wala sb kch kre ge mgr matam nahi kre ge, or phr e c baat ke wja s hm me takraar hti h nd akhir me hm dono apni olaad paida na krne pr rzamand ho jate hen, ab mje ap s puchna h k es surat me kya wo hakiki shea khlai jae ge? Or olaad ko jan buj kr na paida krne k bare me islam kya khta h? Or islam k concept s mje us larki s shadi krni chahye ya nahi jbke hm aik dusre k bgair ni rah skte?  
Answer Wssalam o alykum, Ager wo Mazhab e Shia ke Aqaid ka izhar karti hai or un ko qabool karti hai masalan Matam o Azadari ka inkaar na karti ho balke sirf zangeer ya kama ke matam ko na karne ko kehti ho or majlesoo main jati ho hath ka matam karti ho o namaaz wagera shia mazhab ke tareqe se phrti ho to wo shia hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 01). Or olaad ke na hone ke liye kisi cheez ka istamaal karna jaiz hai (olad peda krna wajib nahi hai). (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 415 , pg # 238 , eidition # 5). Ager us se shadi se ap ke deen main tabdeli ka imkaan ho to us se shadi jaiz nahi. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #1 , sawaal #134, pg # 70 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.