Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aqa e sistani 
Question Mulana Sahib, agar kisi larki ko online written main teen dafa talak dee jayee or phir wo admi 3 saal tak wapis na aye na he us say koi rabta ho to kia larki dobara nikah ker sakti hai kisi or say. yeh bi batati chalon k ye aik court marriage thee or molvi sahib nay bhi wahan court main he perha tha.  
Answer 1) Ye talaaq sahi nahi Q k talaq ki khuch shriat hain:1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay.2- talaaq do adil mard(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zaroori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zaroori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-72) 2) Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341,2342) 3) Nikah ki chand shara,et hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke seghah sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2379). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.