Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sunni 
Question Assalamu alaikum. Agar kisi aurat ya ladki ke upar jaadu ka asar hai,, aur aalim keh raha ho k shae (khabis,) ke wo najaiz jage pe behta hai to wo lakdi ya hath kisi chiz se use touch kar sakta hai najaiz jago pe?kya ye jaiz hai? 
Answer Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Jaiz nahi hay.or wo shaks apni baat main sacha nahi hay.(Ref: mujtahid se pochay gay sawalaat, part#3, pg#71). Wazifa: Hazrat Ameerul momineen(a.s) se Abu Lais ne riwayat ki hay k agar sorah e aaraaf(sorah#7) ki ayat #120 se lay ker 122 tak or is k baad sorah e taha(sorah e 20) ki ayat#69 ko likh ker seher zada shaks k galay main pehna diya jay or zaafran se likh ker dhoo ker pilaya jaay tu seher or jado k liay nihayat mofeed hay.(Ref:book nawaey saleheen,pg#369). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: wo tamaam aamil jo ghair islami or haram kaam kertay hain wo dar haqiqat jhotay or jaali aamil hain. Asli aamil tu wo hay jo islam ki talimaat per khud bhi amal karay or doosro ko bhi islami talimaat per amal kerne ka hokum day or haram kamo se door rehne ka hokum day.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.