Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Meri shadi k baad pehlay saal ramzanon main meray 6 rozay batil hogaye,hum jantay thay k manah hay phir bhi yeh gunah sarzad hogaya, main qaza or kufara donon ada kerna chahti hun, kia mujhay her rooz k badlay 60 maskeenon ko khana khilana hoga? or shohar k liye bhi yehi hukum hay?  
Answer Agar aap dono nay jaan boojh ker ramazan k rozay hambistari (intercourse) say baatil kiay hoon chahay merd ka uzo e tanasul (penis) aurat ki sharamgaah(vagina ) main mukammal daakhil nah hoa ho balkeh supari (khatna ka maqaam) ki miqdaar tak bhi daakhil hoa ho or mani(semen) bhi khaarij nah hoe ho tu aap dono par rozay ki qaza or kaffarah wajib hay.or agar uzo e tanasul aurat ki sharamgaah main supari ki miqdaar say kam daakhil ho or mani bhi kharij nah hoe ho tu roza baatil nahi hoga. Agar koe shaks bhool jaay k wo rozay say hay or hambistari karay tu os ka roza baatil nahi haga albattah agar hambistari k doraan yaad aajay k rozay say hay tu zarori hay k hambistari fauran terk ker day or agar aisa nah karay tu os ka roza baatil hay. Or agar rozay daar ramzaan main apni rozay daar bivi say hambistari karay tu agar os nay bivi ko majboor kia ho tu wo apnay rozay ka kaffara day or ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay keh apni bivi ka bhi kaffara (60 miskino ko khana khilana etc.) day or agar bivi habistari per razi ho tu dono per aik aik kaffara wajib hoga.or jin rozo ki qazo ko aglay ramzaan aanay say pehlay baja nah laa’in tu ehtiyaat e lazim ki bina per her din k liay aik mud(750g) ta’aam(food) bhi dain.is ko fidya e takheeri kaha jata hay. shohar mani nikaalnay k iraday k baghair bivi ka bosa (kiss) layna ya koe shehwat angaiz kaam karma mekhroh hay,haram nahi hay or nah hi is say roza baatil huta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1565-1568, 1649,1629,1681) .  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.