Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name i dont no 
Question agar shohar bevi ki choti si galati ki wajse gusse me ek sath teen bar talaq boolde aur bevi apni maan ke ghar jakar rhne lage mehar eddat ki raqam dedi gayi ho to kya talq hojaay ga ya nahi aagar nahi hoga aur shohar ne bevi ko chordiya to uske sar par goonha rahega jab ki uski bevi galati ki mafi mang rahiho in sab ke doran agar talaq nahi hota hai in dono ke darmiyan 6 mahine ka waqfa guzar cuka hai to milne ki koi surat hai  
Answer Ye talaaq sahi nahi Q k talaq ki khuch shriat hain:1-talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay.2- talaaq do adil mard(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay.3- zaroori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay.4-Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi.5-zaroori hai k aurat talaq k waqt haiz ya nafas se pak ho aur us k sohr ny paki k doran us sy hambistri na ki ho. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2462-72). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.