Answer |
Jis aurat ka daimi nikah(permanent marriage) hojaey us k faqat 2 cheezo main shohar ki ita,at wajib hay. 1-bivi k liay haram hay k shohar ki ijazat k bagair ghar say bahar niklay chahay uska nikalna shohar k haq k mukhalif na bhi ho siwaey ye k koe ehem zarorat paish ajajey ya ghar mai rehna os k liay nuqsan-dah ho.2- jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil kerna chahay tu oski khahish puri karay aur kisi shar,e wajah(maslan aurat halat e haiz ya nifaas main ho) k baghair shohar ko jima(intercourse) say nah rokay. Note:oper biyaan ki gae 2 cheezoon main hi aurat ko apnay shohar ka hokum maanna wajib hay baqi chezon mai maslan digest nah parhnay main,T.V na daikhnay main ya kherhki(window) main bethnay mai hokum maanna wajib nahi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2376). .Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). |