Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Sunni 
Question Sir mera sawal ye hai ke 3 saal pehle meri shaadi hui. Meri wife ki ghair mard se baat kerti thi tou ek din maine phone pe apni bv se baat kerte hue kaha agar tum ne ainda phir us larke se baat ki to mai tumhe 3-bar talaq de dunga kaha. Jab ke mera aisa koi irada nahi tha. Phir hum ek imam-e-masjid ke pass gaye to us ne kaha ke talaq nahi hoti aisay agar tumhari wife us larke se future me baat keregi to usi waqt tum dono ki talaq hojayegi. Hum ne 60 gharibo ko Imam-e-masjid ke kehne pe khana khelaya. 2 saal baad mera bv ke saath jagra hogaya us ne ghusay me aaker us larke ko phone kiya. Ab me father ban gaya hon. Kya Hum dono ka rishta jaiz hai? Humari talaq to nahi hui?. Plz Plz Plz guide me. 
Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Ye talaq shi nhi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq daina batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.