Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question my name is sarfraz sir mera sawal ye hai ke shewat ke ane se drops lazmi niklte hai ya kabhi kabhi niklate hai aur aur sir mujhe shewat bohat ziada ati hai aur main bar bar bath room jakar check karta ho ke koi drops tu nahi nikla aur mujhe shak bohat hota hai yani main bohat wahmi ho gaya ho plz iska ka koi tarika bataye ke mera shak door ho jaye i m very thankfull to you 
Answer 1)Wo ratubat jo khabi khabi shawat ubhrney per mard k peshab ki nali se kharij hoti he usay mazi kahte hein aur wo paak he. Us se ghusl wajib nahi hota or wuzu bhi batil nahi hota.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70,71) 2) Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). 3) Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345) 4)Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.