Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani 
Question Qarz denay k baray mai btain k kitna sawab hai? 
Answer Mominoo ko aur khas tor par un zurarat mando ko qarz dena mustahab kamoo mai sai hai jis k baray mai masoomeen a.s. ki hadeeso mai takeed ki gae hai. Hazrat Muhammad Mustafa s.a.w.w. nai farmaya: “ Jo shakhs kisi momin bhai ko qarz dai dai aur osay wapis krnay ki isteta’at tak mohlat dai to aisay shakhs k maal mai izafa hota hai aur farishtay is par durood bejhtay hain yaha tk k wo apna qarz wapis lai lai. ” Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. sai manqool hai k “Aik momin kisi doosray momin ko qurbat ki niyat sai qarz dai dai to Allah is ko sadqa ka ajar ata krta hai yaha tk k wo apna qarz wapis lai lai.” Qarz denay k kuch makhsos ahkam hain jin k baray mai Tauzeehul masail dekhain . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2236)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.