Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Mere shadi ko 1.5 years ho gaye hien tuqreebun ik saal baid hum mily thay or last 4 months sy humbister ho rhy hien 1, 2 din chor ker hum mubashiret kerty hien laykin phir b pregnancy nhio ho rhi humein koi dua koi wazifa btaeya pls thanx  
Answer 1)fiqhi masla : Haiz k ayyaam (days) main aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono kay liay haram hai, balkeh kaha gaya hay k ye gunah-haan e kabeera main say hay. chahay dukhool sirf supari(paishab ki nail ka shuru ka chikna hissa) ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkay ehtiyaat-e-wajib yeh hai k supari se kam miqdar main bhi dukhool na kia jaay. albattah yeh hukum aurat se dubur (maqaam-e-pakhana) mein jima k liay nahi hai. lekin dubur mein jima, aurat ki razamandi k bagair ho to ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai (chahey woh haiza ho ya na ho). (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 448 & Minhaajus saliheen, part#1,maslah#228). 2) Agar koe shakhs laa aualad ho un k aulad na hoti ho aur agar wo chahta ho k is ko naik aur aziz aulad ata ho to is k liay chahiay k wo mussalsal 3 din roza rakhay aur har raat sonay se pahley 21 bar surah e al furqaan ki ayat no 74 ko parhey. Aur Allaha say apni haajat talab karay aur so jaayy. Har mahinay(month) me aik bar kar lia jaay. (ref : kitab naeem ul aamal pg #331). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.