Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name wahabi 
Question mera sawal hai kay mujhy lecuriya ki bemari hai to mujhy samhj nahi ata kay us main mani aur mazi aur wadi main kasy farq karn kabhi kahi jel type ki ratubat hoti hai chipkany wali to wo kia mani hoti hai plzz btaa dain mujhy 
Answer Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota.or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hain.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.