Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Quran e pak k sjdey ada karney ka kya tariqa ha. 
Answer 1)Quran Majeed ki 4 sortoon main wo ayaat maujood hain jinkay sunnay aur parhnay par foran sajda karna wajib hojata hay wo ayaat ye hain: Sura Sajda Ayat 15,Sura Fussilat Ayat 37,Sura WanNajm Ayat 62 aur Sura Alaq Ayat 19.Jab insaan Quran Majeed ka Wajib Sajda karnay k Iraday say Peshaani Zameen par rakh day to Chahay wo koe zikr na bhi parhay tab bhi kaafi hay aur zikr ka parhna behtar hay.aur mustahab zikr k liye Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.174 Masala No.1086 ki taraf rujoo karain. 2)Ethiat e wajib ye he k quran majeed k wajib sajday me insane apni peshani aisi jigha rakhay jis per sajdah karna sahi ho aur ethiat e mustahib ki bina per badan k doosray aazah zameen per is terha rakhay jis terha namaz k silsilay me bataya gya he. .(Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.174 Masala No.1080,1086.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.