Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Talaq(sunni) 
Question mai ye puchna chata hn k kuch arsa pehle meri shadi hui. mai pichlay 5 saal se ghar walo ko keh raha tha k mai yaha shadi nai krna chata lakn larki k abu ne meray ami abu ko bht tang kia hua tha. meraay abu aur larki k abu bhai thay jis waja se meray maa baap majbur thay. yaha tk k larki k abu beemar huay aur marnay se kuch din pehle tak meri tarf isharay krtay rahay k is se shadi karao. mai us time ghar mai 1 baar bataya k in k marnay k baad mai isay talaaq de dn ga. lakn kisi ne nai sunni, ab un k marnay k baad mujay dobara majbur kia gaya aur zabardasti shadi kara di gai lakn mai khush nai is shadi se aur ghar mai sb ko bata dia hai k mai usay talaaq de raha hn. mai abi out of country hn isliay sb ne usay phone uthanay se b mana kia k talaq applicable na ho jae. kia talaaq ho jati hai aisay. ghar mai sb chacha, phupho aur daadi wagaira ko b pata chaal chuka hai. mai abi b us k saath nai rehna chata. agar nai hui talaq tu kaisay ho gi? 
Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1)Zauja ko zaujiat sai kharij kr denay ka nam talaq hai. q k talaq aik bara sakth moamla hai lehaza nehayat achi terah aur thanday dimag sai soch kar talaq ka iqdam kia jae. Pak daman aurat ki talaq par arsh e ilahi kanp uthta hai aur khuda k nazdeek halal umoor mai talaq sai ziada na gawar koi cheez nahi hai. 2)Talaq ki chand shrait hain jin ki pabindi krna zaroori hai warna talaq nahi hoti hai 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.