Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name urdu 
Question mooujy apny future sa booohat daar lagata haaa . samaj nahei atei ka maa agay kaya karooo gaaa . ma 2nd year ma parta hooo .or number be booohat kam atay hann . sab kahaty han kaa in numbers ma kahaei be dahkhla naheie melay gaa . parhaei ka errrada karta ho parrr paher , kahaei or lag jata ho kahayaloooo maa. mujy dar ha ka ma kaya job karo ga .mujy koei job melay ge be ya naheii . kuch samaj nahei atei ka kis tarhan kaamao ga .kassy kahao ga . shadei be karnaei ha . par passsy or rooozgar acha kasy melllay ga . pleaseee koe wazzefa batay ka mara annnay wallla wakaat achaa hooo job melly or ma acha kama sakooo gahhhr walllo ko palll sakooo . achaei parhaei ka leyaa emtahannn ma achay numbers ma paasss hony ka leyaaa kuch wazzaif batay ( shokreya/ jazzakallha) 
Answer 1)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Akhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) 2)Kisi bhi jaiz maqsad main kamiyaabi k liay 11 martaba durood sharif prhnay k baad 101 mertabah perhain. (yaa Allaaho yaa rahmaano yaa raheemo yaa kareemo yaa hay’yo yaa qay’yoomo). (Ref: Naemul aamaal , Pg # 314). 3)Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.