Answer |
1)Bank k tamam shobon(departments) k baray mein aik hi masla hai, woh ye hai k woh tamaam department jin mein soodi mamilaat ki transaction hoti ho, maslan recording, dealing wagira ki jati ho, un deparment main kaam kerna jaiz nahi hai (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Jaded masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #29).
2)Khawateen ka offices men kaam kerna agar share parde ka khayal rakha jaey aur lazzat ka irada ya gunah main mubtila hone ka khoof nah ho to koe haraj nahi hay.
Note: Agar khawateen is qism ki jaghoo par kaam kerna chahain to inhain share parday ka lihaz k alawa apnay chahray ka make up kernay sai bhi parhaiz krna chaheay.(Ref : Kitab Nigah aur libaas, Sawal # 97, Mafhoom e Pg # 65). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
|