Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ahle hadis 
Question sir Mera sawaal ye hay k mera husbend mujy bohat maarta hay or mujy kafi dafa apny mou say talaq day chuka hay par mera koi bhi aziz meri is baat ko sun kay mujy apnay ghar nahi rakhta kio kay mera husbend unsay larta hay wo meri jan bhi nahi chorta.mujy kehta hay kay maine tumain chorna bhi nahi or rakhna bhi nahi.main tumain isis tarha zalil karo ga.maine adalat main case file kia hay talaq kay liay mere husbend ko nahi pata sirf itna pata hay kay main adalat main gai thi case ko 4 mahinay ho gaiy hain mera case yaktarfa digree honay wala hay.lakin uskay baad mera koi aziz mujay nahi rakhay ga is liay main foran shadi karna chahti ho.pla mujay btaiy kay main kaisay shadi karo.wesy ye masla 2 saal say chala aa raha hay.or 2 saal say maine apnay husbend kay sath koi main bv wala kaam nahi kia kio kay main usay apna husbend samjhti hi nahi kio kay wo mujay kitni dafa talaaq day chuka hay par mujay kahi janay bhi nahi deta.plz mujay btaien main kya karo.main foran dosri shadi karna chahti ho.or aesa hul bataaen kay wo mujay or mere husbend ko koi nuqsaan na pohnchaiy or na hi mere dosray husbend kay khilaf koi kanoni karwai kar sakay 
Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Islam mai talaq ka haq sirf sohar ko hasil hai aur court sai li gae talaq bhi batil hai. aap koshish karain k apnay sohar ko khush rakh sakain aur is k lie aap wazifay bhi parh sakti hain. Mian biwi ki aik doosray say mohabbat o ulfat may izafay k lye har namaz k baad surah e mumtahinah suarh # 60 ki ayat no 7 ko 7 martaba parha karay to donoo may be-shumar muhabbat qaim ho jay gi. (Ref : Naway e Salaheen pg # 350)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.