Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question sibgat ul allah kisay kahtay hain 
Answer Quran e Majeed ki surah e baqra aurah # 2 ki ayat # 138 mai ye lafz istemal hua hai. is ka matlab hai “Allah ka rang(color)”. Ayat ka tarjuma ye hai. “Rang to sirf Allah ka rang hai aur is sai behtr kis ka rang ho sakta hai aur ham sab isi k abadat guzar hain”. Is ki tafseer ye hai k mukhtalif aqwam mai deen o mazhab rang sai pechana jata tha, is lie islam nai wazeh kar dia k lal, pilay, haray mai kuch nahi rakha hai. islam o iman khud aik rang hai jis mai har musalman ko doob jana chaheay aur is rang ka izhar ibadat e ilahi sai hota hai jis k bagair islam ka dawa be-rang hai. (Ref : Anwar e Quran Allama Zeeshan haider Jawadi pg # 75)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.