Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Molana Sahab, mai Iran-Iraq- Sham ki Ziarat Parhne ja rahahu Aup meri rehnumai Kare keh kis maqam per per puri Namaz parni chaiye aur kis maqam per Audhi Parni chaiye, Aur ye bhi batae keh agar mera stey kisi maqam per 10 din se ziada ho to muje namaz qasar parhni chaihe ya puri Namaz parni chaiey Jawab ka jald Muntazir hu Thanks 
Answer 1) Zarori hay k musafir zuhar,asr or isha ki namaz 8 shara’it ki maujoodgi main qasar baja laay, yaani 2 rakat perhay.in 8 shara’it main say aik shart ye hay k safar 8 sharee farsakh(yaani taqreeban 44 kilo meter) ho.layhaza jis shaks k jaanay or wapis aanay ka mukammal safar 44km ho tu zarori hay k wo shaks namaz ko qasar perhay. Mazeed ye k agar safar ka agaaz apnay sheher(city) say karay tu hadday takhkhus tak pohanch jaay. Or hadday tarakhkhus wo jagah hay jahaan say ehlay sheher hatta keh wo afraad jo sheher k muzafaat main sheher k bahar rehtay hain musafir ko nah daikh sakay or oski alamat ye hay k wo ehlay sheher ko nah daikh sakay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1259-1341). 2)Agar musafir 10 din ya us se ziada kisi jagha rahe to zarori he k namaz puri parhe. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1280 se pahle) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.