Answer |
1)Agar aaza e wazoo(wo body parts jis par wazoo kia jata hai) k alawa badan ka koi hissa najis ho to wazoo sahi hai laikin agar peshab ya pakana k maqam ko pak na kia gya ho to phir ehtiyat e mustahab ye hai k pehlay inhain pak karay phir wazoo karay.
2)Peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez sai pak nahi hota hai aur osay aik martaba dhona kafi hai albetta ehtiyat e mustahab ye hai k 2 martaba dohain aur behtr ye hai k 3 martaba dohain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 276-62)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|