Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah Sistani 
Question Mere pass 2011 me job chornay k bad 80000 rs bach gaye jis ka may khums day chuka tha phir wo mal may kharch karta raha aur beech may kuch paisay pocket money/doosri choti moti job say dalta bhi raha jo 2012 k end tak 3000 rs bachay ab mera sawal yeh hay k agar 2013 tak dubara may nay 80000 rs bach jatay hay to kia is par dubara khums ho ga ya nahi ya agar 100000 bach gaye to mujhe pooray par khums dena hoga ya sirf 20000 par? 
Answer jab 2011 main bache howe 80,000 or 2012 main choti moti job se mile howe peso ko kharch karne ki waja se 2012 ke end main ap ke paas sirf 3,000 bach gaae to ager 2013 ke end main ap ke paas 80,000 ya 1,00,000 hain to in mian ager bache howe 80,000 manain to 77,000 per, or ager 1,00,000 manain to 97,000 per ap ko 2013 ke end main kums dena hoga, Or jahan tak 3,000 ki baat hai to ager ye 2011 ke bache howe 80,000 main se hain to in per kums nahi hai, Or ager ye 2012 ki kamaai se bache howe hai to ager apne in ka 2012 ke end main kums nikaal diya tha to in per kums nahi hai, or ager nahi nikaala tha to in ka bhi kums nikaalna ho ga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 1722) , (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 120 , pg # 55 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.